ashk
iski uski har kisi ki najar ka asar hai
meri jindagi par har kisi ka asar hai
baatein hai kai saari
umeedo ka farak hai
kisi ki baat dil choo jaati hai - 2
kisi ka gaali dena bhi beasar hai
patthar ke dil hai
ashko ki na jane kya talab hai
mehfil ki gujarish ajeeb hai
duaayon mei bhi woh kaha asar hai
beekhra samaan hai
dil ke taraana bhi ajab hai
kashmkash mei khoye alfaaz hai
labo ko muskurana gajab hai
falak par chand hai poora aaj
uska akelapan bhi hai uske sath
patthar hai kayi bade chote
yahan rona galat hai
kehte hai hasna sabko manjoor hai
yahan dard nahi hai
yahan sab mast hai
yahan kisi ko shikan nahi
yahan sab khush hai
par rota asman bhi hai
par woh mohabbat hai jameen ke hisse ki
koi barish kehta hai koi paani
behte hai jharne bhi chattano se
dhoka kha jaate hai log use uski khoobsurti samjh ke
hasne waale ki har hasi ke peeche hai lakho gam
koi unhe samjhkar dekhe khul jayegi sare bhram
kaun kehta hai hame dard nahi hota
choto ka koi asar nahi hota
bas woh baat alag hai ki dikhate nahi
dard juban se byan kar paate nahi
atak jaata hai saara falak kaid hokar mere seene mei
ashk ke sath beh jaate hai dard kisi jameen ke kone mein
reh jaati bas thandi aahein
"musafir" ki kaha hai manjil kaha hai nigahe
dhunde jise, raastein bhi hai unchahe
paigam hai unsuna
koi samjhe to baat hai
mera dard
koi samjhe to baat hai
behti nadiyo ke sath
beh jayengi umeede bhi
meri umeede koi samjhe to baat hai........
iski uski har kisi ki najar ka asar hai
meri jindagi par har kisi ka asar hai
baatein hai kai saari
umeedo ka farak hai
kisi ki baat dil choo jaati hai - 2
kisi ka gaali dena bhi beasar hai
patthar ke dil hai
ashko ki na jane kya talab hai
mehfil ki gujarish ajeeb hai
duaayon mei bhi woh kaha asar hai
beekhra samaan hai
dil ke taraana bhi ajab hai
kashmkash mei khoye alfaaz hai
labo ko muskurana gajab hai
falak par chand hai poora aaj
uska akelapan bhi hai uske sath
patthar hai kayi bade chote
yahan rona galat hai
kehte hai hasna sabko manjoor hai
yahan dard nahi hai
yahan sab mast hai
yahan kisi ko shikan nahi
yahan sab khush hai
par rota asman bhi hai
par woh mohabbat hai jameen ke hisse ki
koi barish kehta hai koi paani
behte hai jharne bhi chattano se
dhoka kha jaate hai log use uski khoobsurti samjh ke
hasne waale ki har hasi ke peeche hai lakho gam
koi unhe samjhkar dekhe khul jayegi sare bhram
kaun kehta hai hame dard nahi hota
choto ka koi asar nahi hota
bas woh baat alag hai ki dikhate nahi
dard juban se byan kar paate nahi
atak jaata hai saara falak kaid hokar mere seene mei
ashk ke sath beh jaate hai dard kisi jameen ke kone mein
reh jaati bas thandi aahein
"musafir" ki kaha hai manjil kaha hai nigahe
dhunde jise, raastein bhi hai unchahe
paigam hai unsuna
koi samjhe to baat hai
mera dard
koi samjhe to baat hai
behti nadiyo ke sath
beh jayengi umeede bhi
meri umeede koi samjhe to baat hai........