ek raah thi par manjil nahi thi...
parents and care |
ek raasta tha par thikaana nahi tha..
gharo mei jalte diye dekhe
to yaad aayi maa ki
roshan hota tha unka ghar
mere aane se shaam ko
ek din aaya aisa
safar par chal dia mei
"musafir" nikal gaya sadak pe
leke kashti lehro par
ufanti lehro se takrakar
pahucha jab manjil ki aur
to kinara door ho gya
mei ghar se manjil se
aur halaat se majboor ho gya
dekha idhar udhar
to puri dunia thi kashmakash mei
bhai, behen, pyar aur dost ke hatho mei
bandhi thi dore nayi si unke beech mei
mei bhi unhi se jud gya...
adha khush ho gya
ma, pitaji
mei bahut bada ban gya
par adha khush reh gya....
apke bina...!!!
apka sath tha
par paas na tha
apka ehsas tha
par sath na tha
baaton ka kya fayda tha
jab aap ka sahara na tha
rupey bahut they jeb mei
par khali jeb ka bahana na tha
ma, pitaji
bas yaadon ka asra tha
mera apke paas hi thikana tha
bas chaldiya mei pata nahi kyun
khushiyo ka sansar to aapse hi tha
ashko ka kya fayda
ab mei bada ban gya
par adha khush reh gya.....
apke bina...!!!
No comments:
Post a Comment