Search This Blog

Pages

Saturday 13 September 2014

Intezaar aur sahi....

Aaj fir ankhon mei ansu aa gye hai
mere apne mere paas aa rahe hai
intezar mei dekhi roz ghadia meine jinki
unke nishan meri zameen par mukkammal aa rahe hai

betha hun besabri se unse milne ko
hothon par hasi baar baar aa rhi hai
nam hai ankhein, zuban par unka naam hai
meri jaan aaj mujhse milne aa rhi hai

tohfe lekar hazaar aaya hun
mei unke liye ghar saja rha hun
dekhta hun rasoi ki taraf ki kya banaya jaaye
meri jaan ko aaj kya khilaya jaaye
hai itni khushiya is man mei
bayan in labzo se na ho paaye
kashmakash mei koi galti na ho jaye
unko kuch bura na lag jaaye
is baat ka dar bhi sata rha hai
ki koi anhoni na ho jaaye
soch rha hun ki unse kya kaha jaaye
itne dino ke baad mil rhe hai
is musafir ke shabdkosh kahin khatam na ho jaye
sochta hun ki unhe dekhte hi unse gale lag jayun
rab ne meher rakkhi to shayad barish bhi chalak jaaye
gaadi karke ghar aaye safar mei hamare kandhe par unka sar rakkha jaaye
woh bolti rahein mei sunta rahun
baatein itni ho ki kabhi subah na ho
isi dua mei yeh intezar bas khatam ho jaye
mera naseeb mujhe apne yaar se milwa jaaye

Aaj fir ankhon mei ansu aa gye hai
mere apne mere paas aa rahe hai
intezar mei dekhi roz ghadia meine jinki
unke nishan meri zameen par mukkammal aa rahe hai