Search This Blog

Pages

Monday 4 January 2016

duniya bekar hai

kya sach hai kya jhoot
kaun paas hai kaun door hai
ek raah anjaani hai
mastani jawaani hai
reham hai har kisi ka
kisi ki be-parwahi hai
mohabbat ke naam par bas
humne chot hi khaayi hai
akele chal diye hai usi anjaani raah par
manjil abhi tak na humne paayi hai

kya kahei ae duniya waalo
waqt ki taraazoo par humne
jab bhi rishtey naape hai
us par khud pasandi ki boo humne paayi hai
zehar si ho rhi jindagi ko
ab alvida keh dia hai
un namurad rishtey ko
ab alvida keh dia hai


chal pade hai
hum bad chale hai
na kisi ki khabar liye
hum nikal pade hai
usi anjaani raah par
mast jawaani ka anand lekar
hum duniya ki fikr chod kar
jindagi jeene
apni manjil ki aur
chal pade hai....