Search This Blog

Pages

Tuesday 22 November 2016

Ek ashq baha wahin, Aur un yaadon k sath woh bhi dhool mei mil gya

Umar ka padaav ek aisa tha
Na woh kuch bol sake na hamne kuch kahan

Chal rahe they woh apne humsafar ke sath
Khudgarj akele khade they hum is paar

Haseen thand ke mausam mei
Nazar mili to ruk sa gya yeh jahan

Pal bhar ke liye hi sahi
Par ek zindagi gujar gyi 

Bachpan ki kahani 
Aaj saalo baad yaad aagyi

Woh baarish ke mausam
Woh mitti ki khushboo
Kitabo ka bahana
Woh bachpan ka khelna

Har din ka intezaar hi besabari se tha
Shaam ko 5:30 baje unse milna jo hota tha

Par ek roj samay waise hi aaya jaise aata tha
Par jiska intezaar tha woh nhe aaya

Kisi ki kahi suni baaton par
Us nadaan ne bharosa kar lia tha

Samjh to mujhe dunia ki na tab thi na ab hai
Par yu dunia se darkar jeena mere samjh ke pare hai

Achanak se mei akela ho gya, bheed mei tanha ho gya
Usne mujhse baat karna choddo nazar milana bhi chodd dia

Bahut maafi maangi bin baat ke
Bahut peecha kia rickshaw ke 

Par idhar nazar hi na ghume
2-3 saal ka bachpan
Dhool ke sath udne laga
Meine bhi kismat samjh kar 
Khud ko hi khota maan lia

Socha agar itna dam hota to choddti kyun
Agar koi kuch manti to ek baar milti jarur, baat batati jarur

Samay ka pahiya aaj fir laut ke usi do-raahe par laaya
Par is baar mahaul alag, zindagi hi alag 

Aur aaj fir itne saalo baad jab usko dekha
Uski ankhon mei meine uske humsafar ko nahin dekha
Kuch gile they, kuch shikwe they
Par mohabbat nahin thi

Aisa laga

Un do palo mei jaise saari baat kar li thi
Usne maafi bhi maang li thi'
Meine kismat bhi samjh li thi
Aaj din kuch aur hota agar woh thodi himmat dikha leti
Maana bachpan ki mohabbat thi
Par kash woh samaaj ki baato mei naa aati

Par khushi is baat ki hai 
Ki ladki khush hai
Apne jahan mei mashgool hai
Videsh ke daure par hai
Uska humsafar bhi sundar hai

Ek ashq baha wahin
Aur un yaadon k sath woh bhi dhool mei mil gya
musafir ki manzil hi kahin aur thi
shayad yeh dil rasta bhatak gya tha