Search This Blog

Pages

Thursday 17 January 2013

Jinda Dili


Jinda Dili 

kuch kashmakash si hai jindagi mei
kuch to alag yeh mausam hai
kuch kami hai ab is mehfil mei
kyun sab jagah bikhra sa man hai

har seher mei bandh ti jo umeed hai
har shab mei toot jaati hai
kisso ki kahaniya yaad karke
labo se hasi chhoot jati hai

lamho mei gujar gaye jo pal
yun hi beet jaate hai
kuch makaam peeche choot jaate hai
kuch baatein yaad aa jaati hai

ashk bhi sookh jaatei hai
mohabbat bhi mit jaati hai
kuch vaadei reh jaatei hai
kuch yaadein reh jaati hai

kisi ke thahake
kisi ki badmashia reh jaati hai
seene mei bandh jaati hai kahaniya kayi
kaid usme saari jindagi ho jaati hai

ji karta hai chala jayun sab chodkar
mei us paar kahi door
par kuch majbooriyan aa jaati hai
kuch jimmedariyan aa jati hai

doobti kashti fr sambhal jaati hai
jab ankhon mei apno ki tasveer aa jati hai
baawre dil ko mana leta hai man
jab kabhi mushkile hadh se jyada bad jaati hai

chalna seekha hai
ab daud bhi lagayenge
hum mohabbat ke meethe bol gayenge
sambhaal lenge ab is dil ko bhi
ab hum khuhshia hi lutyange
geet madhur gun gunayenge
koi falsafa nya banayenge
jinda dili ke kisse humare,
log dunia mei gayenge
"musafir" ki tarah
hum to bas chalte jayenge
har mukaam se nayi manjil banayenge
hum to bas chalte jayenge

friends - Beach - GOA
Don't know where to go, just walk.

No comments:

Post a Comment